jab mein tumsey milney aata tha,
din sey jarjar sudh ko apney
kandhon sey latkakar, gaata aata tha.
haath jhulata, dag lambey bharta,
kachhi raat key keekar van sey
dhoomil dilli batein chunta.
kautik bunta, saanson ki sindhuchala par
dhooein key kshanik chhaley tairata,
ufanta aap, aur aap hi
aayu key prabal jwaar ko samjhata.
chhutey gin-gin, uthaley jeybon mein chhankata
kuchh rupayon ki jugat lagata,
guna bhag kar, jama ghata kar,
kesar pushp mol ley aata tha jab mein,
kaisi adbhut gati thi hriday ki vidushi,
kaisi garima thi lalaat par
kaisa tej aankhon mein!
jab mein tumsey milney aata tha
tum sa priyasi madhumay swar kar
apney batiyata, apney
neh key nutan swang rachata aata tha.
pattey ashant ashadh key kanaphoosi kartey
kharpar kharpar, kharpar kharpar,
wah gaya sarphira sahodar jo
sumano par ghaat lagata tha.
mitron ka jamghat do-taka thitholi karta,
mujhko deh ka dalit daas batata tha
aur samay ko swarn batata sehchar mera
vichitra roop dhar key muskata tha.
kintu din-din shayan kaksha mein,
tum marm udar ka dikhlati jab,
nihshabd nisha par vaksh dhara kar
jeewan vilay ka sikhlati jab -
dikhati kitni reykhayein kal key haathon mein
kitney satya sanatan mithya mein
kitna rasik lavanya tumhari baaton mein.
jab mein tumsey milney aata tha,
tumsey milkar bhi kyun madhukar
pehchan nahin tumko pata tha.
tum bhavan baney kya ashraya deytey,
mein pair pasarey so jaata tha,
tum timir chhor par muskatey
mein bhor samajh ukta jaata tha.
sakal nagar sey alag thalag,
jaahil jarjar bhesh dhara mein,
ek naam ki ratan lagata,
ek shwaas sey bandha bhara mein
uljha rehta uljhi jihwa mein,
har satya tathya par chhatkata
gaanth lagey akshar suljhata aata tha jab mein -
kaisa surbhit yah nagar tha
aur sapnon key shatdal mein bhi
tunhara kavi ekal tha.
jab mein tumsey milney aata tha,
jeewan key har phan, har jhanjhat sey kheeja,
avirat saans ki atal aavritti par jhunjhlata tha.
kintu yadi kuchh aisa hota,
path ki ghar-ghar jaati karoyon mein,
ek thaur mil jaata mujhko,
uthatey-giratey, nirantar chaltey,
pal sey trin-trin banati sadiyon mein,
avkash agar mil paata mujhkko,
yadi tumhari maadak smritiyan ley,
swapna-satya key chaurahey par,
kuchh der aur mein toh lagata,
kuchh der aur mein moh jatata,
sambhav tha tum ko saath samajh
mein aur akeyla ho jaata
ya phir tumhari ghari dhoondhata
apni hi bela kho jaata,
aur kisi sambhavit tat par,
taj kar lahar laalayit bhaav
milata mujhko bhi mera antim thehraav.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment