Sunday, October 15, 2006

Patra 3

kitna tarun deekh raha
tum par neh ka harsh.
ekdum saral.
titli.


na duvidha, na shanka,
na kya, na kyun.
ekdum nishchhal.
bachhi sa.

aata hunh
to kehti ho - aa gaye?
jaata hunh to,
- suno! mat jao na!

aur kabhi kivaar ki
kanakhiyon mein khari,
madira si ufanti ho -
jao tum! bus!
humm!

kitni nirbhay deekh rahi
tum par hansi tumhari.
ekdum nishchint.
sarita.

na bhay darun kal ka,
na lay karun kal ki.
ekdum kshanika.
runjhun si ghantika.

darta hunh
to kehti ho - mein hunh na, kuchh nahin hoga!
chup hota to - kya hua?
aisa to mat karo na!

aur kabhi sooraj ke
gir jaaney par
chaand utha laati ho sirhaaney.
taarikayein tarjini aur anguthey mein daba,
poochati - pehen loon inhein eriyon par?

kintu is nagar
arbon ki chimniyon mein rehtey-dhehtey log,
kaho vidushi,
hai kya sambhav yahan lagana
dhai akhsharon ka kutir udyog?

No comments: