EK KITAB VIDUSHI TUMAHREY NAAM
pehla prishtha tha geeton ka,
kuchh mainey gaye, kuchh tumney,
kuchh geet batoi ban kar key
khud apni thaur chaley gaye.
pehla prishtha tarun tarangon ka tha,
kya tha? kuchh yaad nahin ab!
kuchh pal they, kuchh pagalpan tha,
aur yauvan jaisa saath nahin ab.
pehla prishtha, pehley pehel tha aaya,
pehli chithi sa bawara,
pehli baaton sa barbola,
pehli barish sa shor machata aangan mein.
wo, jo pehla prishtha tha na? sabsey pehla!
jahan kahani na thi, shabd na they,
naam na tha koi, bas harsh tha.
vidushi wah pehla prishtha tumhara sparsh tha.
kuchh panney parkar ab thithkein?
shayad bahar gali mein mela ho,
shayad bahar din bheetar se lamba hota ho.
chalo kuchh pal wahin chalein,
jahan kitab ka har prishtha pehla prishtha hota ho.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment