Monday, October 16, 2006

Dilli

ye kaisa intizaar hai, ye kaisi bemani chah ki kasak hai,
ki vasl-e-sukun ke darmiyan bhi dard-e-hijra ki mehak hai.

aisa nahin ki tamanna koi dar-e-yaar khari bebas hai,
phir ye merey ghar laundi, kis rooh ki junoon, kis khoon ki hawas hai?

hai zamee bhar ummeed-e-sukhan, sailab-e-jashna da falak hai,
mujh sey poochhta hi nahin koi ki ye rasm-e-bazaar kab talak hai.

ilm-e-daulat au gham-e-rezgaari sey oobey hain, kya sabab hai?
jab ki dilli bhi door nahin apney to phir ye kaisi talab hai?

had-e-jism, had-e-zehen, had-e-rooh ke baad aaee jo ye sarhad hai,
pataa nahin kaun mulk hai, kaun si kaum hai, kaun sa mazhab hai.

No comments: